ārzūeñ  hazār  rakhte  haiñ
to  bhī  ham  dil  ko  maar  rakhte  haiñ
barq  kam-hausla  hai  ham  bhī  to
dil  ko  be-qarār  rakhte  haiñ
ġhair  hī  maurid-e-ināyat  hai
ham  bhī  to  tum  se  pyaar  rakhte  haiñ
na  nigah  ne  payām  ne  vaada
naam  ko  ham  bhī  yaar  rakhte  haiñ
ham  se  ḳhush-zamzama  kahāñ  yuuñ  to
lab  o  lahja  hazār  rakhte  haiñ
choTTe  dil  ke  haiñ  butāñ  mash.hūr
bas  yahī  e'tibār  rakhte  haiñ
phir  bhī  karte  haiñ  'mīr'  sāhab  ishq
haiñ  javāñ  iḳhtiyār  rakhte  haiñ