khoveñ  haiñ  niiñd  merī  musībat  bayāniyāñ
tum  bhī  to  ek  raat  suno  ye  kahāniyāñ
kyā  aag  de  ke  taur  ko  kī  tark  sar-kashī
us  sho.ale  kī  vahī  haiñ  sharārat  kī  bāniyāñ
sohbat  rakhā  kiyā  vo  safīna-o-zalāl  se
dil  hī  meñ  ḳhuuñ  huā  kiiñ  mirī  nukta-dāniyāñ
ham  se  to  kiine  hī  kī  adā.eñ  chalī  ga.iiñ
be-lutfiyāñ  yahī  yahī  nā-meharbāniyāñ
talvār  ke  tale  hī  gayā  ahd-e-imbisāt
mar  mar  ke  ham  ne  kaaTī  haiñ  apnī  javāniyāñ
gaalī  sivā.e  mujh  se  suḳhan  mat  kiyā  karo
achchhī  lage  haiñ  mujh  ko  tirī  bad-zabāniyāñ
ġhairoñ  hī  ke  suḳhan  kī  taraf  gosh-e-yār  the
is  harf-e-nā-shino  ne  hamārī  na  māniyāñ
ye  be-qarāriyāñ  na  kabhū  in  nai-dekhiyāñ
jāñ-kāhiyāñ  hamārī  bahut  sahal  jāniyāñ
maarā  mujhe  bhī  saan  ke  ġhairoñ  meñ  un  ne  'mīr'
kyā  ḳhaak  meñ  milā.īñ  mirī  jāñ-fishāniyāñ