dil  baham  pahuñchā  badan  meñ  tab  se  saarā  tan  jalā
aa  paḌī  ye  aisī  chiñgārī  ki  pairāhan  jalā
sarkashī  hī  hai  jo  dikhlātī  hai  is  majlis  meñ  daaġh
ho  sake  to  sham.a  saañ  diije  rag-e-gardan  jalā
badar  saañ  ab  āḳhir  āḳhir  chhā  ga.ī  mujh  par  ye  aag
varna  pahle  thā  mirā  juuñ  maah  nau  dāman  jalā
kab  talak  dhūnī  lagā.e  jogiyoñ  kī  sī  rahūñ
baiThe  baiThe  dar  pe  tere  to  mirā  aasan  jalā
garmī  us  ātish  ke  par  kaale  se  rakhe  chashm  tab
jab  koī  merī  tarah  se  deve  sab  tan  man  jalā
ho  jo  minnat  se  to  kyā  vo  shab  nashīnī  baaġh  kī
kaaT  apnī  raat  ko  ḳhār-o-ḳhas-e-gulḳhan  jalā
sūkhte  hī  āñsuoñ  ke  nuur  āñkhoñ  kā  gayā
bujh  hī  jaate  haiñ  diye  jis  vaqt  sab  roġhan  jalā
shola  afshānī  nahīñ  ye  kuchh  na.ī  is  aah  se
duuñ  lagī  hai  aisī  aisī  bhī  ki  saarā  ban  jalā
aag  sī  ik  dil  meñ  sulge  hai  kabhū  bhaḌkī  to  'mīr'
degī  merī  haDDiyoñ  kā  Dher  juuñ  īñdhan  jalā