vaañ  vo  to  ghar  se  apne  pī  kar  sharāb  niklā
yaañ  sharm  se  araq  meñ  Duub  āftāb  niklā
aayā  jo  vāqiye  meñ  darpesh  ālam-e-marg
ye  jāgnā  hamārā  dekhā  to  ḳhvāb  niklā
dekhā  jo  os  paḌte  gulshan  meñ  ham  to  āḳhir
gul  kā  vo  rū-e-ḳhandāñ  chashm-e-pur-āb  niklā
parde  hī  meñ  chalā  jā  ḳhurshīd  to  hai  behtar
ik  hashr  hai  jo  ghar  se  vo  be-hijāb  niklā
kuchh  der  hī  lagī  na  dil  ko  to  tiir  lagte
us  said-e-nā-tavāñ  kā  kyā  jī  shitāb  niklā
har  harf-e-ġham  ne  mere  majlis  ke  ta.iiñ  rulāyā
goyā  ġhubār  dil  kā  paḌhtā  kitāb  niklā
rū-e-araq-fishāñ  ko  bas  poñchh  garm  mat  ho
us  gul  meñ  kyā  rahegā  jis  kā  gulāb  niklā
mutlaq  na  e'tinā  kī  ahvāl  par  hamāre
naame  kā  naame  hī  meñ  sab  pech-o-tāb  niklā
shān-e-taġhāful  apne  nau-ḳhat  kī  kyā  likheñ  ham
qāsid  muā  tab  us  ke  muñh  se  javāb  niklā
kis  kī  nigah  kī  gardish  thī  'mīr'  rū-ba-masjid
mehrāb  meñ  se  zāhid  mast-o-ḳharāb  niklā