Meer Taqi Meer

karte hi nahin tark-e-butan taur-e-jafa ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
karte hī nahīñ tark-e-butāñ taur-e-jafā kā
shāyad hamīñ dikhlāveñge dīdār ḳhudā kā
hai abr kī chādar shafaqī josh se gul ke
maiḳhāne ke haañ dekhiye ye rañg havā kā
bahuterī giro jins-kulāloñ ke paḌī hai
kyā zikr hai vaa.iz ke musallā-o-ridā kā
mar jā.egā bātoñ meñ koī ġham-zada yuuñ hī
har lahza na ho mumtahin arbāb-e-vafā kā
tadbīr thī taskīñ ke liye logoñ kī varna
ma.alūm thā muddat se hameñ nafā davā kā
haath ā.īna-rūyoñ se uThā baiTheñ na kyūñkar
bil-aks asar paate the ham apnī duā kā
aañkh us kī nahīñ ā.īne ke sāmne hotī
hairat-zada huuñ yaar kī maiñ sharm-o-hayā kā
barsoñ se tū yuuñ hai ki ghaTā jab umañD aa.ī
tab dīda-e-tar se bhī huā ek jhaḌākā
aañkh us se nahīñ uThne kī sāhab nazroñ kī
jis ḳhaak pe hogā asar us kī kaf-e-pā kā
talvār ke saa.e hī meñ kaaTe hai to ai 'mīr'
kis dil-zada ko hue hai ye zauq fanā kā
Top Urdushayar.com