karte  hī  nahīñ  tark-e-butāñ  taur-e-jafā  kā
shāyad  hamīñ  dikhlāveñge  dīdār  ḳhudā  kā
hai  abr  kī  chādar  shafaqī  josh  se  gul  ke
maiḳhāne  ke  haañ  dekhiye  ye  rañg  havā  kā
bahuterī  giro  jins-kulāloñ  ke  paḌī  hai
kyā  zikr  hai  vaa.iz  ke  musallā-o-ridā  kā
mar  jā.egā  bātoñ  meñ  koī  ġham-zada  yuuñ  hī
har  lahza  na  ho  mumtahin  arbāb-e-vafā  kā
tadbīr  thī  taskīñ  ke  liye  logoñ  kī  varna
ma.alūm  thā  muddat  se  hameñ  nafā  davā  kā
haath  ā.īna-rūyoñ  se  uThā  baiTheñ  na  kyūñkar
bil-aks  asar  paate  the  ham  apnī  duā  kā
aañkh  us  kī  nahīñ  ā.īne  ke  sāmne  hotī
hairat-zada  huuñ  yaar  kī  maiñ  sharm-o-hayā  kā
barsoñ  se  tū  yuuñ  hai  ki  ghaTā  jab  umañD  aa.ī
tab  dīda-e-tar  se  bhī  huā  ek  jhaḌākā
aañkh  us  se  nahīñ  uThne  kī  sāhab  nazroñ  kī
jis  ḳhaak  pe  hogā  asar  us  kī  kaf-e-pā  kā
talvār  ke  saa.e  hī  meñ  kaaTe  hai  to  ai  'mīr'
kis  dil-zada  ko  hue  hai  ye  zauq  fanā  kā