kal  'mīr'  ne  kyā  kiyā  kī  mai  ke  liye  betābī
āḳhir  ko  giro  rakhā  sajjāda-e-mehrābī
jaagā  hai  kahīñ  vo  bhī  shab  murtakib-e-mai  ho
ye  baat  sujhātī  hai  un  āñkhoñ  kī  be-ḳhvābī
kyā  shahr  meñ  gunjā.ish  mujh  be-sar-o-pā  ko  ho
ab  baḌh  ga.e  haiñ  mere  asbāb-e-kam-asbābī
din-rāt  mirī  chhātī  jaltī  hai  mohabbat  meñ
kyā  aur  na  thī  jaagā  ye  aag  jo  yaañ  daabī
so  malak  phirā  lekin  paa.ī  na  vafā  ik  jā
jī  khā  ga.ī  hai  merā  is  jins  kī  nāyābī
ḳhuuñ  basta  na  kyuuñ  palkeñ  har  lahza  rahīñ  merī
jaate  nahīñ  āñkhoñ  se  lab-e-yār  ke  unnābī
jañgal  hī  hare  tanhā  rone  se  nahīñ  mere
kohoñ  kī  kamar  tak  bhī  jā  pahuñchī  hai  sairābī
the  māh-vishāñ  kal  jo  un  koThoñ  pe  jalve  meñ
hai  ḳhaak  se  aaj  un  kī  har  sahn  meñ  mahtābī
kal  'mīr'  jo  yaañ  aayā  taur  is  kā  bahut  bhāyā
vo  ḳhushk-labī  tis  par  jaama  gale  meñ  aabī