kyā  din  the  ve  ki  yaañ  bhī  dil  ārmīda  thā
rū-āshiyāñ  tā.ir-e-rañg-parīda  thā
qāsid  jo  vaañ  se  aayā  to  sharminda  maiñ  huā
bechāra  girya-nāk  garebāñ  darīda  thā
ik  vaqt  ham  ko  thā  sar-e-girya  ki  dasht  meñ
jo  ḳhaar  ḳhushk  thā  sau  vo  tūfāñ  rasīda  thā
jis  said-gāh-e-ishq  meñ  yāroñ  kā  jī  gayā
marg  us  shikār-gah  kā  shikār  ramīda  thā
korī  chashm  kyuuñ  na  ziyārat  ko  us  kī  aa.e
yūsuf  sā  jis  ko  madd-e-nazar  nūr-dīda  thā
afsos  marg  sabr  hai  is  vāste  ki  vo
gul-hā-e-bāġh  ishrat-e-duniyā  nachīdā  thā
mat  pūchh  kis  tarah  se  kaTī  raat  hijr  kī
har  naala  merī  jaan  ko  teġh  kashīda  thā
hāsil  na  pūchh  gulshan-e-mash.had  kā  bul-havas
yaañ  phal  har  ik  daraḳht  kā  halq-e-burīda  thā
dil-e-be-qarār  girya-e-ḳhūnīñ  thā  raat  'mīr'
aayā  nazar  to  bismil  dar-e-ḳhūñ  tapīda  thā