tirī  abrū-o-teġh  tez  to  ham-dam  haiñ  ye  donoñ
hue  haiñ  dil  jigar  bhī  sāmne  rustam  haiñ  ye  donoñ
na  kuchh  kāġhaz  meñ  hai  taane  qalam  ko  dard  nāloñ  kā
likhūñ  kyā  ishq  ke  hālāt  nā-mahram  haiñ  ye  donoñ
lahū  āñkhoñ  se  bahte  vaqt  rakh  letā  huuñ  hāthoñ  ko
jarāhat  haiñ  agar  ve  donoñ  to  marham  haiñ  ye  donoñ
kaso  chashme  pe  dariyā  ke  diyā  uupar  nazar  rakhiye
hamāre  dīda-e-nam-dīda  kyā  kuchh  kam  haiñ  ye  donoñ
lab  jāñ-baḳhsh  us  ke  maar  hī  rakhte  haiñ  āshiq  ko
agarche  āb-e-haivāñ  haiñ  va  lekin  sam  haiñ  ye  donoñ
nahīñ  abrū  hī  maa.il  jhuk  rahī  hai  teġh  bhī  idhar
hamāre  kisht-o-ḳhūñ  meñ  muttafiq  bāham  haiñ  ye  donoñ
khule  siine  ke  dāġhoñ  par  Thahar  rahte  haiñ  kuchh  aañsū
chaman  meñ  mahr-varzī  ke  gul-o-shabnam  haiñ  ye  donoñ
kabhū  dil  rukne  lagtā  hai  jigar  gaahe  taḌaptā  hai
ġham-e-hijrāñ  meñ  chhātī  ke  hamārī  jam  haiñ  ye  donoñ
ḳhudā  jaane  ki  duniyā  meñ  mileñ  us  se  ki  uqbā  meñ
makāñ  to  'mīr'-sāhib  shohra-e-ālam  haiñ  ye  donoñ