Meer Taqi Meer

aah aur ashk hi sada hai yan

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
aah aur ashk hī sadā hai yaañ
roz barsāt kī havā hai yaañ
jis jagah ho zamīn tafta samajh
ki koī dil-jalā gaḌā hai yaañ
go kudūrat se vo na deve ro
aarsī kī tarah safā hai yaañ
har ghaḌī dekhte jo ho īdhar
aisā ki tum ne aa niklā hai yaañ
riñd muflis jigar meñ aah nahīñ
jaan mahzūñ hai aur kyā hai yaañ
kaise kaise makān haiñ suthre
ik azaañ jumla karbalā hai yaañ
ik sisaktā hai ek martā hai
har taraf zulm ho rahā hai yaañ
sad tamannā shahīd haiñ yakjā
sīna-kūbī hai ta.aziya hai yaañ
dīdanī hai ġharaz ye sohbat shoḳh
roz-o-shab tarfa mājrā hai yaañ
ḳhāna-e-āshiqāñ hai jā-e-ḳhūb
jaa.e rone kī jā-ba-jā hai yaañ
koh-o-sahrā bhī kar na jaa.e baash
aaj tak koī bhī rahā hai yaañ
hai ḳhabar shart 'mīr' suntā hai
tujh se aage ye kuchh huā hai yaañ
maut majnūñ ko bhī yahīñ aa.ī
kohkan kal hī mar gayā hai yaañ
Top Urdushayar.com