raat  guzre  hai  mujhe  naza.a  meñ  rote  rote
āñkheñ  phir  jā.eñgī  ab  sub.h  ke  hote  hote
khol  kar  aañkh  uḌā  diid  jahāñ  kā  ġhāfil
ḳhvāb  ho  jā.egā  phir  jāgnā  sote  sote
daaġh  ugte  rahe  dil  meñ  mirī  naumīdī  se
haarā  meñ  tuḳhm  tamannā  ko  bhī  buute  buute
jī  chalā  thā  ki  tire  hoñT  mujhe  yaad  aa.e
la.al  paa.eñ  haiñ  maiñ  is  jī  hī  ke  khote  khote
jam  gayā  ḳhuuñ  kaf-e-qātil  pe  tarah  'mīr'  zi-bas
un  ne  ro  ro  diyā  kal  haath  ko  dhote  dhote