bhalā  hogā  kuchh  ik  ahvāl  us  se  yā  burā  hogā
ma.aal  apnā  tire  ġham  meñ  ḳhudā  jaane  ki  kyā  hogā
tafahhus  fā.eda  nāseh  tadāruk  tujh  se  kyā  hogā
vahī  pāvegā  merā  dard-e-dil  jis  kā  lagā  hogā
kaso  ko  shauq  yārab  besh  us  se  aur  kyā  hogā
qalam  haath  aa  ga.ī  hogī  to  sau  sau  ḳhat  likhā  hogā
dukāneñ  husn  kī  aage  tire  taḳhta  huī  hoñgī
jo  tū  bāzār  meñ  hogā  to  yūsuf  kab  bikā  hogā
ma.īshat  ham  faqīroñ  kī  sī  iḳhvān-e-zamāñ  se  kar
koī  gaalī  bhī  de  to  kah  bhalā  bhaa.ī  bhalā  hogā
ḳhayāl  us  bevafā  kā  ham-nashīñ  itnā  nahīñ  achchhā
gumāñ  rakhte  the  ham  bhī  ye  ki  ham  se  āshnā  hogā
qayāmat  kar  ke  ab  ta.abīr  jis  ko  kartī  hai  ḳhilqat
vo  us  kūche  meñ  ik  āshob  sā  shāyad  huā  hogā
ajab  kyā  hai  halāk  ishq  meñ  farhād-o-majnūñ  ke
mohabbat  rog  hai  koī  ki  kam  us  se  jiyā  hogā
na  ho  kyuuñ  ġhairat-e-gul-zār  vo  kūcha  ḳhudā  jaane
lahū  is  ḳhaak  par  kin  kin  azīzoñ  kā  girā  hogā
bahut  ham-sā.e  is  gulshan  ke  zanjīrī  rahā  huuñ  maiñ
kabhū  tum  ne  bhī  merā  shor  nāloñ  kā  sunā  hogā
nahīñ  juz  arsh  jaagā  raah  meñ  lene  ko  dam  us  ke
qafas  se  tan  ke  murġh-e-rūh  merā  jab  rahā  hogā
kahīñ  haiñ  'mīr'  ko  maarā  gayā  shab  us  ke  kūche  meñ
kahīñ  vahshat  meñ  shāyad  baiThe  baiThe  uTh  gayā  hogā