guzar  jaan  se  aur  Dar  kuchh  nahīñ
rah-e-ishq  meñ  phir  ḳhatar  kuchh  nahīñ
hai  ab  kaam  dil  jis  pe  mauqūf  to
vo  naala  ki  jis  meñ  asar  kuchh  nahīñ
huā  maa.il  us  sarv  kā  dil  mirā
ba-juz  jaur  jis  se  samar  kuchh  nahīñ
na  kar  apne  mahvoñ  kā  hargiz  surāġh
ga.e  guzre  bas  ab  ḳhabar  kuchh  nahīñ
tirī  ho  chukī  ḳhushk  mizhgāñ  kī  sab
lahū  ab  jigar  meñ  magar  kuchh  nahīñ
hayā  se  nahīñ  pusht-e-pā  par  vo  chashm
mirā  haal  madd-e-nazar  kuchh  nahīñ
karūñ  kyūñke  inkār  ishq  aah  meñ
ye  ronā  bhalā  kyā  hai  gar  kuchh  nahīñ
kamar  us  kī  rashk  rag-e-jāñ  hai  'mīr'
ġharaz  is  se  bārīk-tar  kuchh  nahīñ