yuuñ  hī  hairān-o-ḳhafā  joñ  ġhuncha-e-tasvīr  hoñ
umr  guzrī  par  na  jaanā  maiñ  ki  kyuuñ  dil-gīr  hoñ
itnī  bāteñ  mat  banā  mujh  shefte  se  nāsehā
pand  ke  laa.eq  nahīñ  maiñ  qābil-e-zanjīr  hoñ
surḳh  rahtī  haiñ  mirī  āñkheñ  lahū  rone  se  shaiḳh
mai  agar  sābit  ho  mujh  par  vājib  al-ta.azīr  huuñ
ne  falak  par  raah  mujh  ko  ne  zamīñ  par  rau  mujhe
aise  kis  mahrūm  kā  meñ  shor-e-be-tāsīr  huuñ
joñ  kamāñ  garche  ḳhamīda  huuñ  pe  chhūTā  aur  vahīñ
us  ke  kūche  kī  taraf  chalne  ko  yaaro  tiir  huuñ
jo  mire  hisse  meñ  aave  teġh-e-jamdhar  sail-o-kard
ye  fuzūlī  hai  ki  maiñ  hī  kushta-e-shamshīr  huuñ
khol  kar  dīvān  merā  dekh  qudrat  mudda.ī
garche  huuñ  maiñ  naujavāñ  par  shā.iroñ  kā  piir  huuñ
yuuñ  sa.ādat  ek  jamdhar  mujh  ko  bhī  guzāriye
munsifī  kiije  to  maiñ  to  mahz  be-taqsīr  huuñ
is  qadar  be-nañg  ḳhabtoñ  ko  nasīhat  shaiḳh-jī
baaz  aao  varna  apne  naam  ko  maiñ  'mīr'  huuñ