har  jazr-o-mad  se  dast-o-baġhal  uThte  haiñ  ḳharosh
kis  kā  hai  raaz  bahr  meñ  yārab  ki  ye  haiñ  josh
abrū-e-kaj  hai  mauj  koī  chashm  hai  habāb
motī  kisī  kī  baat  hai  siipī  kisī  kā  gosh
un  muġhbachoñ  ke  kūche  hī  se  maiñ  kyā  salām
kyā  mujh  ko  tauf-e-ka.aba  se  meñ  riñd-e-dard-nosh
hairat  se  hove  partav-e-mah  nuur  ā.īna
tū  chāñdnī  meñ  nikle  agar  ho  safed-posh
kal  ham  ne  sair-e-bāġh  meñ  dil  haath  se  diyā
ik  saada  gul-farosh  kā  aa  kar  sabad  ba-dosh
jaatā  rahā  nigāh  se  juuñ  mausam-e-bahār
aaj  us  baġhair  dāġh-e-jigar  haiñ  siyāh-posh
shab  is  dil-girafta  ko  vā  kar  ba-zor-e-mai
baiThe  the  shīra-ḳhāne  meñ  ham  kitne  harzā-kosh
aa.ī  sadā  ki  yaad  karo  duur  rafta  ko
ibrat  bhī  hai  zarūr  Tak  ai  jam.a  tez  hosh
jamshed  jis  ne  vaz.a  kiyā  jaam  kyā  huā
ve  nasīhateñ  kahāñ  ga.iiñ  kīdhar  ve  nāv-nosh
juz  laala  us  ke  jaam  se  paate  nahīñ  nishāñ
hai  kokanār  us  kī  jagah  ab  subū  ba-dosh
jhūme  hai  bed  jā-e-javānān  mai-gusār
bālā-e-ḳham  hai  ḳhisht  sar  pair  mai-farosh
'mīr'  is  ġhazal  ko  ḳhuub  kahā  thā  zamīr  ne
par  ai  zabāñ-darāz  bahut  ho  chukī  ḳhamosh