koft  se  jaan  lab  pe  aa.ī  hai
ham  ne  kyā  choT  dil  pe  khaa.ī  hai
likhte  ruqa  likhe  ga.e  daftar
shauq  ne  baat  kyā  baḌhā.ī  hai
aarzū  us  buland  o  baalā  kī
kyā  balā  mere  sar  pe  laa.ī  hai
dīdanī  hai  shikastagī  dil  kī
kyā  imārat  ġhamoñ  ne  Dhaa.ī  hai
hai  tasanño  ki  laal  haiñ  ve  lab
yaanī  ik  baat  sī  banā.ī  hai
dil  se  nazdīk  aur  itnā  duur
kis  se  us  ko  kuchh  āshnā.ī  hai
be-sutūñ  kyā  hai  kohkan  kaisā
ishq  kī  zor  āzmā.ī  hai
jis  maraz  meñ  ki  jaan  jaatī  hai
dilbaroñ  hī  kī  vo  judā.ī  hai
yaañ  hue  ḳhaak  se  barābar  ham
vaañ  vahī  naaz  o  ḳhud-numā.ī  hai
aisā  mautā  hai  zinda-e-jāved
rafta-e-yār  thā  jab  aa.ī  hai
marg-e-majnūñ  se  aql  gum  hai  'mīr'
kyā  divāne  ne  maut  paa.ī  hai