ishq  meñ  nai  ḳhauf-o-ḳhatar  chāhiye
jaan  ke  dene  ko  jigar  chāhiye
qābil-e-āġhosh  sitam  dīdgāñ
ashk  sā  pākīza  guhar  chāhiye
haal  ye  pahuñchā  hai  ki  ab  zo.af  se
uThte  palak  ek  pahar  chāhiye
kam  hai  shanāsā-e-zar-e-dāġh-e-dil
us  ke  parakhne  ko  nazar  chāhiye
saiñkaḌoñ  marte  haiñ  sadā  phir  bhī  yaañ
vāqi.a  ik  shām-o-sahar  chāhiye
ishq  ke  āsār  haiñ  ai  bul-havas
daaġh  ba-dil-e-dast  basar  chāhiye
shart  salīqa  hai  har  ik  amar  meñ
aib  bhī  karne  ko  hunar  chāhiye
jaise  jaras  paara  gulo  kyā  karūñ
nāla-o-afġhāñ  meñ  asar  chāhiye
ḳhauf  qayāmat  kā  yahī  hai  ki  'mīr'
ham  ko  jiyā  bār-e-digar  chāhiye