ulTī  ho  ga.iiñ  sab  tadbīreñ  kuchh  na  davā  ne  kaam  kiyā
dekhā  is  bīmāri-e-dil  ne  āḳhir  kaam  tamām  kiyā
ahd-e-javānī  ro  ro  kaaTā  piirī  meñ  liiñ  āñkheñ  muuñd
ya.anī  raat  bahut  the  jaage  sub.h  huī  ārām  kiyā
harf  nahīñ  jāñ-baḳhshī  meñ  us  kī  ḳhūbī  apnī  qismat  kī
ham  se  jo  pahle  kah  bhejā  so  marne  kā  paiġhām  kiyā
nāhaq  ham  majbūroñ  par  ye  tohmat  hai  muḳhtārī  kī
chāhte  haiñ  so  aap  kareñ  haiñ  ham  ko  abas  badnām  kiyā
saare  rind  aubāsh  jahāñ  ke  tujh  se  sujūd  meñ  rahte  haiñ
bāñke  TeḌhe  tirchhe  tīkhe  sab  kā  tujh  ko  imaam  kiyā
sarzad  ham  se  be-adabī  to  vahshat  meñ  bhī  kam  hī  huī
kosoñ  us  kī  or  ga.e  par  sajda  har  har  gaam  kiyā
kis  kā  ka.aba  kaisā  qibla  kaun  haram  hai  kyā  ehrām
kūche  ke  us  ke  bāshindoñ  ne  sab  ko  yahīñ  se  salām  kiyā
shaiḳh  jo  hai  masjid  meñ  nañgā  raat  ko  thā  mai-ḳhāne  meñ
jubba  ḳhirqa  kurtā  Topī  mastī  meñ  in.aam  kiyā
kaash  ab  burqa  muñh  se  uThā  de  varna  phir  kyā  hāsil  hai
aañkh  muñde  par  un  ne  go  dīdār  ko  apne  aam  kiyā
yaañ  ke  sapīd  o  siyah  meñ  ham  ko  daḳhl  jo  hai  so  itnā  hai
raat  ko  ro  ro  sub.h  kiyā  yā  din  ko  juuñ  tuuñ  shaam  kiyā
sub.h  chaman  meñ  us  ko  kahīñ  taklīf-e-havā  le  aa.ī  thī
ruḳh  se  gul  ko  mol  liyā  qāmat  se  sarv  ġhulām  kiyā
sā.ad-e-sīmīñ  donoñ  us  ke  haath  meñ  lā  kar  chhoḌ  diye
bhūle  us  ke  qaul-o-qasam  par  haa.e  ḳhayāl-e-ḳhām  kiyā
kaam  hue  haiñ  saare  zaa.e.a  har  saa.at  kī  samājat  se
istiġhnā  kī  chaugunī  un  ne  juuñ  juuñ  maiñ  ibrām  kiyā
aise  āhu-e-ram-ḳhurda  kī  vahshat  khonī  mushkil  thī
sehr  kiyā  e.ajāz  kiyā  jin  logoñ  ne  tujh  ko  raam  kiyā
'mīr'  ke  dīn-o-maz.hab  ko  ab  pūchhte  kyā  ho  un  ne  to
qashqa  khīñchā  dair  meñ  baiThā  kab  kā  tark  islām  kiyā