sozish  dil  se  muft  galte  haiñ
daaġh  jaise  charāġh  julte  haiñ
is  tarah  dil  gayā  ki  ab  tak  ham
baiThe  rote  haiñ  haath  milte  haiñ
bharī  aatī  haiñ  aaj  yuuñ  āñkheñ
jaise  dariyā  kahīñ  ubalte  haiñ
dam-e-āḳhir  hai  baiTh  jā  mat  jā
sabr  kar  Tak  ki  ham  bhī  chalte  haiñ
tere  be-ḳhud  jo  haiñ  so  kiyā  chīteñ
aise  Duube  kahīñ  uchhalte  haiñ
fitna  dar-sar-e-hashr-e-ḳhirām
haa.e  re  kis  Thasak  se  chalte  haiñ
nazar  uThtī  nahīñ  ki  jab  ḳhūbāñ
sote  se  uTh  ke  aañkh  milte  haiñ
is  sar-e-zulf  kā  ḳhayāl  na  chhoḌ
saañp  ke  sar  hī  yaañ  kuchalte  haiñ
the  jo  aġhyār  sañg  siine  ke
ab  to  kuchh  ham  ko  dekh  Talte  haiñ
sham.a-rū  mom  ke  bane  haiñ  magar
garm  Tak  maliye  to  pighalte  haiñ
'mīr'-sāhib  ko  dekhiye  jo  bane
ab  bahut  ghar  se  kam  nikalte  haiñ