jab  se  ḳhat  hai  siyāh-ḳhāl  kī  thāng
tab  se  luTtī  hai  hind  chāroñ  daañg
baat  amal  kī  chalī  hī  jaatī  hai
hai  magar  auj-bin-unuq  kī  Taañg
ban  jo  kuchh  ban  sake  javānī  meñ
raat  to  thoḌī  hai  bahut  hai  saañg
ishq  kā  shor  koī  chhuptā  hai
nāla-e-andalīb  hai  gul-bāñg
us  zaqan  meñ  bhī  sabzī  hai  ḳhat  kī
dekho  jīdhar  kuñ.eñ  paḌī  hai  bhāñg
kis  tarah  un  se  koī  garm  mile
sīm-tan  pighle  jaate  haiñ  joñ  raañg
chalī  jaatī  hai  hasab  qadr-e-buland
duur  tak  us  pahāḌ  kī  hai  Daañg
tafra  bātil  thā  tuur  par  apne
varna  jaate  ye  dauḌ  ham  bhī  phalāñg
maiñ  ne  kyā  us  ġhazal  ko  sahal  kiyā
qāfiye  hī  the  us  ke  ūT-paTāñg
'mīr'  bandoñ  se  kaam  kab  niklā
māñgnā  hai  jo  kuchh  ḳhudā  se  maañg