garche  kab  dekhte  ho  par  dekho
aarzū  hai  ki  tum  idhar  dekho
ishq  kyā  kyā  hameñ  dikhātā  hai
aah  tum  bhī  to  ik  nazar  dekho
yuuñ  araq  jalva-gar  hai  us  muñh  par
jis  tarah  os  phuul  par  dekho
har  ḳharāsh-e-jabīñ  jarāhat  hai
nāḳhun-e-shauq  kā  hunar  dekho
thī  hameñ  aarzū  lab-e-ḳhandāñ
so  evaz  us  ke  chashm-e-tar  dekho
rañg-rafta  bhī  dil  ko  khīñche  hai
ek  shab  aur  yaañ  sahar  dekho
dil  huā  hai  taraf  mohabbat  kā
ḳhuun  ke  qatre  kā  jigar  dekho
pahuñche  haiñ  ham  qarīb  marne  ke
ya.anī  jaate  haiñ  duur  agar  dekho
lutf  mujh  meñ  bhī  haiñ  hazāroñ  'mīr'
dīdanī  huuñ  jo  soch  kar  dekho