gar  kuchh  ho  dard  ā.īna  yuuñ  charḳh-e-zisht  meñ
in  sūratoñ  ko  sirf  kare  ḳhāk-o-ḳhisht  meñ
rakhtā  hai  soz-e-ishq  se  dozaḳh  meñ  roz-o-shab
le  jā.egā  ye  soḳhta-dil  kyā  bahisht  meñ
āsūda  kyūñke  huuñ  maiñ  ki  mānind-e-gard-bād
āvārgī  tamām  hai  merī  sarisht  meñ
kab  tak  ḳharāb  sa.ī-e-tavāf-e-haram  rahūñ
dil  ko  uThā  ke  baiTh  rahūñgā  kunisht  meñ
mātam  ke  huuñ  zamīn  pe  ḳhirman  to  kyā  ajab
hotā  hai  niil  charḳh  kī  us  sabz  kisht  meñ
sarmast  ham  haiñ  āñkhoñ  ke  dekhe  se  yaar  kī
kab  ye  nasha  hai  duḳhtar-e-raz  tujh  palisht  meñ
rindoñ  ke  ta.iiñ  hamesha  malāmat  kare  hai  tū
ājā.iyo  na  shaiḳh  kahīñ  hasht-bahisht  meñ
naame  ko  chaak  kar  ke  kare  nāma-bar  ko  qatl
kyā  ye  likhā  thā  'mīr'  marī  sar-navisht  meñ