ġhamze  ne  us  ke  chorī  meñ  dil  kī  hunar  kiyā
us  ḳhānumāñ-ḳharāb  ne  āñkhoñ  meñ  ghar  kiyā
rañg  uḌ  chalā  chaman  meñ  guloñ  kā  to  kyā  nasīm
ham  ko  to  rozgār  ne  be-bāl-o-par  kiyā
naafe  jo  thiiñ  mizāj  ko  avval  so  ishq  meñ
āḳhir  unhīñ  davāoñ  ne  ham  ko  zarar  kiyā
martā  huuñ  jaan  deñ  haiñ  vatan-dāriyoñ  pe  log
aur  sunte  jaate  haiñ  ki  har  ik  ne  safar  kiyā
kyā  jānūñ  bazm-e-aish  ki  saaqī  kī  chashm  dekh
maiñ  sohbat-e-sharāb  se  aage  safar  kiyā
jis  dam  ki  teġh-e-ishq  khiñchī  bul-havas  kahāñ
sun  lījiyo  ki  ham  hī  ne  sīna-sipar  kiyā
dil  zaḳhmī  ho  ke  tujh  ta.iiñ  pahuñchā  to  kam  nahīñ
is  nīm-kushta  ne  bhī  qayāmat  jigar  kiyā
hai  kaun  aap  meñ  jo  mile  tujh  se  mast  naaz
zauq-e-ḳhabar  hī  ne  to  hameñ  be-ḳhabar  kyā
vo  dasht-e-ḳhaufnāk  rahā  hai  mirā  vatan
sun  kar  jise  ḳhizr  ne  safar  se  hazar  kiyā
kuchh  kam  nahīñ  haiñ  sho.abda-bāzoñ  se  mai-gusār
daarū  pilā  ke  shaiḳh  ko  aadam  se  ḳhar  kiyā
haiñ  chāroñ  taraf  ḳheme  khaḌe  gard-bād  ke
kyā  jāniye  junūñ  ne  irāda  kidhar  kiyā
luknat  tirī  zabān  kī  hai  sahar  jis  se  shoḳh
yak  harf-e-nīm-gufta  ne  dil  par  asar  kiyā
be-sharm  mahz  hai  vo  gunahgār  jin  ne  'mīr'
abr-e-karam  ke  sāmne  dāmāñ  tar  kiyā