bazm  meñ  jo  tirā  zuhūr  nahīñ
sham-e-raushan  ke  muñh  pe  nuur  nahīñ
kitnī  bāteñ  banā  ke  lā.ūñ  ek
yaad  rahtī  tire  huzūr  nahīñ
ḳhuub  pahchāntā  huuñ  tere  ta.iiñ
itnā  bhī  to  maiñ  be-shu.ūr  nahīñ
qatl  hī  kar  ki  us  meñ  rāhat  hai
lāzim  us  kaam  meñ  marūr  nahīñ
fikr  mat  kar  hamāre  jiine  kā
tere  nazdīk  kuchh  ye  duur  nahīñ
phir  jiyeñge  jo  tujh  sā  hai  jāñ-baḳhsh
aisā  jiinā  hameñ  zarūr  nahīñ
aam  hai  yaar  kī  tajallī  'mīr'
ḳhaas  muusā  va  koh-e-tūr  nahīñ