kyā  kahiye  ki  ḳhūbāñ  ne  ab  ham  meñ  hai  kyā  rakhā
in  chashm-siyāhoñ  ne  bahutoñ  ko  sulā  rakhā
jalva  hai  usī  kā  sab  gulshan  meñ  zamāne  ke
gul  phuul  ko  hai  un  ne  parda  sā  banā  rakhā
juuñ  barg  ḳhizāñ-dīda  sab  zard  hue  ham  to
garmī  ne  hameñ  dil  kī  āḳhir  ko  jalā  rakhā
kahiye  jo  tamīz  us  ko  kuchh  achchhe  bure  kī  ho
dil  jis  kaso  kā  paayā  chaT  un  ne  uḌā  rakhā
thī  maslak-e-ulfat  kī  mash.hūr  ḳhatarnākī
maiñ  dīda-o-dānista  kis  raah  meñ  pā  rakhā
ḳhurshīd-o-qamar  pyāre  rahte  haiñ  chhupe  koī
ruḳhsāroñ  ko  go  tū  ne  burqā  se  chhupā  rakhā
chashmak  hī  nahīñ  taazī  sheve  ye  usī  ke  haiñ
jhamkī  sī  dikhā  de  kar  aalam  ko  lagā  rakhā
lagne  ke  liye  dil  ke  chhiḌkā  thā  namak  maiñ  ne
sau  chhātī  ke  zaḳhmoñ  ne  kal  der  maza  rakhā
kushte  ko  is  abrū  ke  kyā  mel  ho  hastī  kī
maiñ  taaq  buland  uupar  jiine  ko  uThā  rakhā
qata.ī  hai  dalīl  ai  'mīr'  us  teġh  kī  be-ābī
rahm  un  ne  mire  haq  meñ  mutlaq  na  ravā  rakhā