jo  kaho  tum  so  hai  bajā  sāhab
ham  bure  hī  sahī  bhalā  sāhab
sāda-zehnī  meñ  nukta-chīñ  the  tum
ab  to  haiñ  harf-āshnā  sāhab
na  diyā  rahm  Tuk  butoñ  ke  ta.iiñ
kyā  kiyā  haa.e  ye  ḳhudā  sāhab
bandagī  ek  apnī  kyā  kam  hai
aur  kuchh  tum  se  kahiye  kyā  sāhab
mehr-afzā  hai  muñh  tumhārā  hī
kuchh  ġhazab  to  nahīñ  huā  sāhab
ḳhat  ke  phaTne  kā  tum  se  kyā  shikva
apne  tāle.a  kā  ye  likhā  sāhab
phir  ga.iiñ  āñkheñ  tum  na  aan  phire
dekhā  tum  ko  bhī  vāh-vā  sāhab
shauq-e-ruḳh  yād-e-lab  ġham-e-dīdār
jī  meñ  kyā  kyā  mire  rahā  sāhab
bhuul  jaanā  nahīñ  ġhulām  kā  ḳhuub
yaad  ḳhātir  rahe  mirā  sāhab
kin  ne  sun  sher-e-'mīr'  ye  na  kahā
kahiyo  phir  haa.e  kyā  kahā  sāhab