ham  se  kuchh  aage  zamāne  meñ  huā  kyā  kyā  kuchh
to  bhī  ham  ġhāfiloñ  ne  aa  ke  kyā  kyā  kuchh
dil  jigar  jaan  ye  bhasmant  hue  siine  meñ
ghar  ko  ātish  dī  mohabbat  ne  jalā  kyā  kyā  kuchh
kyā  kahūñ  tujh  se  ki  kyā  dekhā  hai  tujh  meñ  maiñ  ne
ishva-o-ġhamza-o-andāz-o-adā  kyā  kyā  kuchh
dil  gayā  hosh  gayā  sabr  gayā  jī  bhī  gayā
shaġhl  meñ  ġham  ke  tire  ham  se  gayā  kyā  kyā  kuchh
aah  mat  pūchh  sitamgār  ki  tujh  se  thī  hameñ
chashm-e-lutf-o-karam-o-mahr-o-vafā  kyā  kyā  kuchh
naam  haiñ  ḳhasta-o-āvāra-o-bad-nām  mire
ek  aalam  ne  ġharaz  mujh  ko  kahā  kyā  kyā  kuchh
tarfa-e-sohbat  hai  ki  suntā  nahīñ  tū  ek  mirī
vāste  tere  sunā  maiñ  ne  sunā  kyā  kyā  kuchh
hasrat-e-vasl-o-ġham-e-hijr-o-ḳhayāl-e-ruḳh-e-dost
mar  gayā  maiñ  pe  mire  jī  meñ  rahā  kyā  kyā  kuchh
dard-e-dil  zaḳhm-e-jigar  kulfat-e-ġham  dāġh-e-firāq
aah  aalam  se  mire  saath  chalā  kyā  kyā  kuchh
chashm-e-namnāk-o-dil  par  jigar  sad-pāra
daulat-e-ishq  se  ham  paas  bhī  thā  kyā  kyā  kuchh
tujh  ko  kyā  banñe  bigaḌne  se  zamāne  ke  ki  yaañ
ḳhaak  kin  kin  kī  huī  sirf  banā  kyā  kyā  kuchh
qibla-o-ka.aba  ḳhudā-vand-o-malāz-o-mushfiq
muztarib  ho  ke  use  maiñ  ne  likhā  kyā  kyā  kuchh
par  kahūñ  kyā  raqam  shauq  kī  apne  tāsīr
har  sar-e-harf  pe  vo  kahne  lagā  kyā  kyā  kuchh
ek  mahrūm  chale  'mīr'  hameñ  aalam  se
varna  aalam  ko  zamāne  ne  diyā  kyā  kyā  kuchh