tāqat  nahīñ  hai  dil  maiñ  ne  jī  bajā  rahā  hai
kyā  naaz  kar  rahe  ho  ab  ham  meñ  kyā  rahā  hai
jeb  aur  āstīñ  se  rone  kā  kaam  guzrā
saarā  nichoḌ  ab  to  dāman  par  aa  rahā  hai
ab  chait  gar  nahīñ  kuchh  taaza  huā  huuñ  bekal
aayā  huuñ  jab  ba-ḳhud  meñ  jī  is  meñ  jā  rahā  hai
kaahe  kā  paas  ab  to  rusvā.ī  duur  pahuñchī
rāz-e-mohabbat  apnā  kis  se  chhapā  rahā  hai
gard-e-rah  us  kī  yārab  kis  aur  se  uThegī
sau  sau  ġhazāl  har-sū  āñkheñ  lagā  rahā  hai
bande  to  trahdār  vhiiñ  tarah  kash  tumhāre
phir  chāhte  ho  kyā  tum  ab  ik  ḳhudā  rahā  hai
dekh  us  dahan  ko  har-dam  ai  aarsī  ki  yuuñ  hī
ḳhūbī  kā  dar  kaso  ke  muñh  par  bhī  vā  rahā  hai
ve  lutf  kī  nigāheñ  pahle  fareb  haiñ  sab
kis  se  vo  be-muravvat  phir  āshnā  rahā  hai
itnā  ḳhizāñ  kare  hai  kab  zard  rañg  par  yaañ
tū  bhī  kaso  nigah  se  ai  gul  judā  rahā  hai
rahte  haiñ  daaġh  aksar  nān-o-namak  kī  ḳhātir
jiine  kā  us  samayñ  meñ  ab  kyā  maza  rahā  hai
ab  chāhtā  nahīñ  hai  bosa  jo  tere  lab  se
jiine  se  'mīr'  shāyad  kuchh  dil  uThā  rahā  hai