sahr-e-gah-e-īd  meñ  daur-e-subū  thā
par  apne  jaam  meñ  tujh  bin  lahū  thā
ġhalat  thā  aap  se  ġhāfil  guzarnā
na  samjhe  ham  ki  is  qālib  meñ  tū  thā
chaman  kī  vaz.a  ne  ham  ko  kyā  daaġh
ki  har  ġhuncha-dil  par  aarzū  thā
gulo-ā.īnā  kyā  ḳhurshīd-o-mah  kyā
jidhar  dekhā  tidhar  terā  hī  rū  thā
karoge  yaad  bāteñ  to  kahoge
ki  koī  rafta-e-bisyār-go  thā
jahāñ  par  hai  fasāne  se  hamāre
dimāġh-e-ishq  ham  ko  bhī  kabhū  thā
magar  dīvāna  thā  gul  bhī  kaso  kā
ki  pairāhan  meñ  so  jaagā  rafū  thā
kahīñ  kyā  baal  tere  khul  ga.e  the
ki  jhoñkā  baav  kā  kuchh  mushkbū  thā
na  dekhā  'mīr'  āvāra  ko  lekin
ġhubār  ik  nā-tavāñ  sā  kū-ba-kū  thā