ab  zo.af  se  Dhahtā  hai  betābī  shitābī  kī
us  dil  ke  taḌapne  ne  kyā  ḳhāna-ḳharābī  kī
un  daras-gahoñ  meñ  vo  aayā  na  nazar  ham  ko
kyā  naqal  karūñ  ḳhūbī  us  chehra  kitābī  kī
bhunte  haiñ  dil  ik  jānib  sakte  haiñ  jigar  yaksū
hai  majlis-e-mushtāqāñ  dukān  kabābī  kī
talḳh  us  lab-e-mai-gūñ  se  sab  sunte  haiñ  kis  ḳhātir
tah-dār  nahīñ  hotī  guftār  sharābī  kī
yak  bū  kushī  bulbul  hai  maujib-e-sad-mastī
pur-zor  hai  kyā  daarū  ġhunche  kī  gulābī  kī
ab  soz-e-mohabbat  se  saare  jo  phaphole  haiñ
hai  shakl  mire  dil  kī  sab  shīsha  habābī  kī
nash-murda  mire  muñh  se  yaañ  harf  nahīñ  niklā
jo  baat  ki  maiñ  ne  kī  so  'mīr'  hisābī  kī