vahshat  thī  hameñ  bhī  vahī  ghar-bār  se  ab  tak
sar  maare  haiñ  apne  dar  o  dīvār  se  ab  tak
marte  hī  sunā  un  ko  jinheñ  dil-lagī  kuchh  thī
achchhā  huā  koī  is  āzār  se  ab  tak
jab  se  lagī  haiñ  āñkheñ  khulī  raah  take  haiñ
so.e  nahīñ  saath  us  ke  kabhū  pyaar  se  ab  tak
aayā  thā  kabhū  yaar  so  māmūl  ham  us  ke
bistar  pe  gire  rahte  haiñ  bīmār  se  ab  tak
bad-ahdiyoñ  meñ  vaqt-e-vafāt  aan  bhī  pahuñchā
vaada  na  huā  ek  vafā  yaar  se  ab  tak
hai  qahr  o  ġhazab  dekh  taraf  kushte  ke  zālim
kartā  hai  ishārat  bhī  tū  talvār  se  ab  tak
kuchh  ranj-e-dilī  'mīr'  javānī  meñ  khiñchā  thā
zardī  nahīñ  jaatī  mire  ruḳhsār  se  ab  tak