banī  thī  kuchh  ik  us  se  muddat  ke  baad
so  phir  bigḌī  pahlī  hī  sohbat  ke  baad
judā.ī  ke  hālāt  maiñ  kyā  kahūñ
qayāmat  thī  ek  ek  saa.at  ke  baad
muā  kohkan  be-sutūñ  khod  kar
ye  rāhat  huī  aisī  mehnat  ke  baad
lagā  aag  paanī  ko  dauḌe  hai  tū
ye  garmī  tirī  is  sharārat  ke  baad
kahe  ko  hamāre  kab  un  ne  sunā
koī  baat  maanī  so  minnat  ke  baad
suḳhan  kī  na  taklīf  ham  se  karo
lahū  Tapke  hai  ab  shikāyat  ke  baad
nazar  'mīr'  ne  kaisī  hasrat  se  kī
bahut  ro.e  ham  us  kī  ruḳhsat  ke  baad