har-dam  taraf  hai  vaise  mizāj  karaḳht  kā
TukḌā  mirā  jigar  hai  kaho  sañg  saḳht  kā
sabzān  in  rū  kī  jahāñ  jalva-gāh  thī
ab  dekhiye  to  vaañ  nahīñ  saaya  daraḳht  kā
joñ  barg-hā-e-lāla  pareshān  ho  gayā
mazkūr  kiyā  hai  ab  jigar  laḳht  laḳht  kā
dillī  meñ  aaj  bhiik  bhī  miltī  nahīñ  unheñ
thā  kal  talak  dimāġh  jinheñ  tāj-o-taḳht  kā
ḳhāk-e-siyah  se  meñ  jo  barābar  huā  huuñ  'mīr'
saaya  paḌā  hai  mujh  pe  kaso  tīra-baḳht  kā