nāz-e-chaman  vahī  hai  bulbul  se  go  ḳhizāñ  hai
Tahnī  jo  zard  bhī  hai  so  shāḳh-e-za.afarāñ  hai
gar  is  chaman  meñ  vo  bhī  ik  hī  lab-o-dahāñ  hai
lekin  suḳhan  kā  tujh  se  ġhunche  ko  muñh  kahāñ  hai
hañgām-e-jalva  us  ke  mushkil  hai  Thahre  rahnā
chitvan  hai  dil  kī  āfat-e-chashmak  balā-e-jāñ  hai
patthar  se  toḌne  ke  qābil  hai  aarsī  tū
par  kyā  kareñ  ki  pyāre  muñh  terā  darmiyāñ  hai
bāġh-o-bahār  hai  vo  maiñ  kisht-e-za.afrāñ  huuñ
jo  lutf  ik  idhar  hai  to  yaañ  bhī  ik  samāñ  hai
har-chand  zabt  kariye  chhuptā  hai  ishq  koī
guzre  hai  dil  pe  jo  kuchh  chehre  hī  se  ayaañ  hai
is  fan  meñ  koī  be-tah  kyā  ho  mirā  muāriz
avval  to  maiñ  sanad  huuñ  phir  ye  mirī  zabāñ  hai
aalam  meñ  āb-o-gil  kā  Thahrāv  kis  tarah  ho
gar  ḳhaak  hai  aḌe  hai  var  aab  hai  ravāñ  hai
charchā  rahegā  us  kā  tā-hashr  mai-kashāñ  meñ
ḳhūñ-rezī  kī  hamārī  rañgīn  dāstāñ  hai
az-ḳhvesh  rafta  us  bin  rahtā  hai  'mīr'  aksar
rahte  ho  baat  kis  se  vo  aap  meñ  kahāñ  hai