Meer Taqi Meer

aalam mein koi dil ka talabgar na paya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
aalam meñ koī dil kā talabgār na paayā
is jins kā yaañ ham ne ḳharīdār na paayā
haq DhūñDne kā aap ko aatā nahīñ varna
aalam hai sabhī yaar kahāñ yaar na paayā
ġhairoñ hī ke hāthoñ meñ rahe dast-e-nigārīñ
kab ham ne tire haath se āzār na paayā
jaatī hai nazar ḳhas pe gah chashm-parīdan
yaañ ham ne par kaah bhī be-kār na paayā
tasvīr ke mānind lage dar hī se guzrī
majlis meñ tirī ham ne kabhū baar na paayā
sūrāḳh hai siine meñ har ik shaḳhs ke tujh se
kis dal ke tarah tīr-e-nigah paar na paayā
marbūt haiñ tujh se bhī yahī nā-kas-o-nā-ahl
us baaġh meñ ham ne gul be-ḳhār na paayā
dam ba.ad junūñ mujh meñ na mahsūs thā ya.anī
jaame meñ mire yāroñ ne ik taar na paayā
ā.īna bhī hairat se mohabbat kī hue ham
par sair ho is shaḳhs kā dīdār na paayā
vo khīñch ke shamshīr sitam rah gayā jo 'mīr'
ḳhūñ-rezī kā yaañ koī sazā-vār na paayā
Top Urdushayar.com