aalam  meñ  koī  dil  kā  talabgār  na  paayā
is  jins  kā  yaañ  ham  ne  ḳharīdār  na  paayā
haq  DhūñDne  kā  aap  ko  aatā  nahīñ  varna
aalam  hai  sabhī  yaar  kahāñ  yaar  na  paayā
ġhairoñ  hī  ke  hāthoñ  meñ  rahe  dast-e-nigārīñ
kab  ham  ne  tire  haath  se  āzār  na  paayā
jaatī  hai  nazar  ḳhas  pe  gah  chashm-parīdan
yaañ  ham  ne  par  kaah  bhī  be-kār  na  paayā
tasvīr  ke  mānind  lage  dar  hī  se  guzrī
majlis  meñ  tirī  ham  ne  kabhū  baar  na  paayā
sūrāḳh  hai  siine  meñ  har  ik  shaḳhs  ke  tujh  se
kis  dal  ke  tarah  tīr-e-nigah  paar  na  paayā
marbūt  haiñ  tujh  se  bhī  yahī  nā-kas-o-nā-ahl
us  baaġh  meñ  ham  ne  gul  be-ḳhār  na  paayā
dam  ba.ad  junūñ  mujh  meñ  na  mahsūs  thā  ya.anī
jaame  meñ  mire  yāroñ  ne  ik  taar  na  paayā
ā.īna  bhī  hairat  se  mohabbat  kī  hue  ham
par  sair  ho  is  shaḳhs  kā  dīdār  na  paayā
vo  khīñch  ke  shamshīr  sitam  rah  gayā  jo  'mīr'
ḳhūñ-rezī  kā  yaañ  koī  sazā-vār  na  paayā