Meer Taqi Meer

kahe hai kohkan kar fikr meri KHasta-haali mein

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kahe hai kohkan kar fikr merī ḳhasta-hālī meñ
ilāhī shukr kartā huuñ tirī dargāh aalī meñ
maiñ vo pazhmurda sabza huuñ ki ho kar ḳhaak se sarzad
yakāyak aa gayā us āsmāñ kī pā.emālī meñ
tū sach kah rañg paañ hai ye ki ḳhuun ishq-bāzāñ hai
suḳhan rakhte haiñ kitne shaḳhs tere lab kī laalī meñ
burā kahnā bhī merā ḳhush na aayā us ko to varna
tasallī ye dil-e-nāshād hotā ek gaalī meñ
mire ustād ko firdaus-e-a.alā meñ mile jaagā
paḌhāyā kuchh na ġhair-az-ishq mujh ko ḳhurd-sālī meñ
ḳharābī ishq se rahtī hai dil par aur nahīñ rahtā
nihāyat aib hai ye is dayār-e-ġham ke vaalī meñ
nigāh-e-chashm pur-ḳhashm-e-butāñ par mat nazar rakhnā
milā hai zahar ai dil is sharāb-e-portugalī meñ
sharāb-e-ḳhūn bin taḌpūñ se dil labrez rahtā hai
bhare haiñ sañg-reze maiñ nai is mīnā-e-ḳhālī meñ
ḳhilāf un aur ḳhūbāñ ke sadā ye jī meñ rahtā hai
yahī to 'mīr' ik ḳhūbī hai ma.ashūq-e-ḳhayālī meñ
Top Urdushayar.com