ḳhūb-rū  sab  kī  jaan  hote  haiñ
ārzū-e-jahān  hote  haiñ
gosha-e-dīvār  tak  tū  jā  naale
us  meñ  gul  ko  bhī  kaan  hote  haiñ
kabhū  aate  haiñ  aap  meñ  tujh  bin
ghar  meñ  ham  mehmān  hote  haiñ
dasht  ke  phūTe  maqbaroñ  pe  na  jā
rauze  sab  gulistāñ  hote  haiñ
harf-e-talḳh  un  ke  kyā  kahūñ  maiñ  ġharaz
ḳhūb-rū  bad-zabān  hote  haiñ
ġhamza-e-chashm  ḳhush-qadān-e-zamīñ
fitna-e-asmān  hote  haiñ
kyā  rahā  hai  mushā.ere  meñ  ab
log  kuchh  jam.a  aan  hote  haiñ
'mīr'-o-'mirzā-rafī'  va  'ḳhvāja-mīr'
kitne  ik  ye  javān  hote  haiñ