zaḳhm  jhele  daaġh  bhī  khaa.e  bahut
dil  lagā  kar  ham  to  pachhtā.e  bahut
jab  na  tab  jāgah  se  tum  jaayā  kiye
ham  to  apnī  or  se  aa.e  bahut
dair  se  sū-e-haram  aayā  na  Tuk
ham  mizāj  apnā  idhar  laa.e  bahut
phuul  gul  shams  o  qamar  saare  hī  the
par  hameñ  in  meñ  tumhīñ  bhaa.e  bahut
gar  bukā  is  shor  se  shab  ko  hai  to
roveñge  sone  ko  ham-sā.e  bahut
vo  jo  niklā  sub.h  jaise  āftāb
rashk  se  gul  phuul  murjhā.e  bahut
'mīr'  se  pūchhā  jo  maiñ  āshiq  ho  tum
ho  ke  kuchh  chupke  se  sharmā.e  bahut