mere  sañg-e-mazār  par  farhād
rakh  ke  tesha  kahe  hai  yā  ustād
ham  se  bin  marg  kyā  judā  ho  malāl
jaan  ke  saath  hai  dil-e-nāshād
muuñd  āñkheñ  safar  adam  kā  kar
bas  hai  dekhā  na  ālam-e-ījād
fikr-e-tāmīr  meñ  na  rah  mun.im
zindagānī  kī  kuchh  bhī  hai  buniyād
ḳhaak  bhī  sar  pe  Dālne  ko  nahīñ
kis  ḳharābe  meñ  ham  hue  ābād
sunte  ho  Tuk  suno  ki  phir  mujh  baad
na  sunoge  ye  naala  o  fariyād
lagtī  hai  kuchh  sumūm  sī  to  nasīm
ḳhaak  kis  diljale  kī  barbād
bhūlā  jaa.e  hai  ġham-e-butāñ  meñ  jī
ġharaz  aatā  hai  phir  ḳhudā  hī  yaad
tere  qaid-e-qafas  kā  kyā  shikva
naale  apne  se  apne  se  fariyād
har  taraf  haiñ  asiir  ham-āvāz
baaġh  hai  ghar  tirā  to  ai  sayyād
ham  ko  marnā  ye  hai  ki  kab  hoñ  kahīñ
apnī  qaid-e-hayāt  se  āzād
aisā  vo  shoḳh  hai  ki  uThte  sub.h
jaanā  so  jaa.e  us  kī  hai  mo'tād
nahīñ  sūrat-pazīr  naqsh  us  kā
yuuñ  hī  tasdīq  khīñche  hai  bahzād
ḳhuub  hai  ḳhaak  se  buzurgoñ  kī
chāhnā  to  mire  ta.iiñ  imdād
par  muravvat  kahāñ  kī  hai  ai  'mīr'
tū  hī  mujh  diljale  ko  kar  irshād
nā-murādī  ho  jis  pe  parvāna
vo  jalātā  phire  charāġh-e-murād