Meer Taqi Meer

shikwa karun main kab tak us apne mehrban ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
shikva karūñ maiñ kab tak us apne mehrbāñ kā
al-qissa rafta rafta dushman huā hai jaañ kā
girye pe rañg aayā qaid-e-qafas se shāyad
ḳhuuñ ho gayā jigar meñ ab daaġh gulsitāñ kā
le jhāḌū Tokrā hī aatā hai subah hote
jārūb-kash magar hai ḳhurshīd us ke haañ kā
dī aag rañg-e-gul ne vaañ ai sabā chaman ko
yaañ ham jale qafas meñ sun haal āshiyāñ kā
har sub.h mere sar par ik hādisa nayā hai
paivand ho zamīñ kā sheva is āsmāñ kā
in said-afganoñ kā kyā ho shikār koī
hotā nahīñ hai āḳhir kaam un ke imtihāñ kā
tab to mujhe kiyā thā tīroñ se said apnā
ab karte haiñ nishāna har mere ustuḳhvāñ kā
fitrāk jis kā aksar lohū meñ tar rahe hai
vo qasd kab kare hai is said-e-nā-tavāñ kā
kam-fursatī jahāñ ke majme.a kī kuchh na pūchho
ahvāl kyā kahūñ maiñ is majlis-e-ravāñ kā
sajda kareñ haiñ sun kar aubāsh saare us ko
sayyad pisar vo pyārā haigā imaam bāñkā
nā-haq shanāsī hai ye zāhid na kar barābar
taa.at se sau baras kī sajda us āstāñ kā
haiñ dasht ab ye jiite baste the shahr saare
vīrāna-e-kohan hai māmūra is jahāñ kā
jis din ki us ke muñh se burqā uThegā suniyo
us roz se jahāñ meñ ḳhurshīd phir na jhāñkā
nā-haq ye zulm karnā insāf kah piyāre
hai kaun sī jagah kā kis shahr kā kahāñ kā
saudā.ī ho to rakkhe bāzār-e-ishq meñ pā
sar muft bechte haiñ ye kuchh chalan hai vaañ kā
sau gaalī ek chashmak itnā sulūk to hai
aubāsh ḳhāna jañg us ḳhush-chashm bad-zabāñ kā
yā ro.e yā rulāyā apnī to yuuñ hī guzrī
kyā zikr ham-safīrāñ yārān-e-shādmāñ kā
qaid-e-qafas meñ haiñ to ḳhidmat hai nālagī kī
gulshan meñ the to ham ko mansab thā rauza-ḳhvāñ kā
pūchho to 'mīr' se kyā koī nazar paḌā hai
chehra utar rahā hai kuchh aaj us javāñ kā
Top Urdushayar.com