shikva  karūñ  maiñ  kab  tak  us  apne  mehrbāñ  kā
al-qissa  rafta  rafta  dushman  huā  hai  jaañ  kā
girye  pe  rañg  aayā  qaid-e-qafas  se  shāyad
ḳhuuñ  ho  gayā  jigar  meñ  ab  daaġh  gulsitāñ  kā
le  jhāḌū  Tokrā  hī  aatā  hai  subah  hote
jārūb-kash  magar  hai  ḳhurshīd  us  ke  haañ  kā
dī  aag  rañg-e-gul  ne  vaañ  ai  sabā  chaman  ko
yaañ  ham  jale  qafas  meñ  sun  haal  āshiyāñ  kā
har  sub.h  mere  sar  par  ik  hādisa  nayā  hai
paivand  ho  zamīñ  kā  sheva  is  āsmāñ  kā
in  said-afganoñ  kā  kyā  ho  shikār  koī
hotā  nahīñ  hai  āḳhir  kaam  un  ke  imtihāñ  kā
tab  to  mujhe  kiyā  thā  tīroñ  se  said  apnā
ab  karte  haiñ  nishāna  har  mere  ustuḳhvāñ  kā
fitrāk  jis  kā  aksar  lohū  meñ  tar  rahe  hai
vo  qasd  kab  kare  hai  is  said-e-nā-tavāñ  kā
kam-fursatī  jahāñ  ke  majme.a  kī  kuchh  na  pūchho
ahvāl  kyā  kahūñ  maiñ  is  majlis-e-ravāñ  kā
sajda  kareñ  haiñ  sun  kar  aubāsh  saare  us  ko
sayyad  pisar  vo  pyārā  haigā  imaam  bāñkā
nā-haq  shanāsī  hai  ye  zāhid  na  kar  barābar
taa.at  se  sau  baras  kī  sajda  us  āstāñ  kā
haiñ  dasht  ab  ye  jiite  baste  the  shahr  saare
vīrāna-e-kohan  hai  māmūra  is  jahāñ  kā
jis  din  ki  us  ke  muñh  se  burqā  uThegā  suniyo
us  roz  se  jahāñ  meñ  ḳhurshīd  phir  na  jhāñkā
nā-haq  ye  zulm  karnā  insāf  kah  piyāre
hai  kaun  sī  jagah  kā  kis  shahr  kā  kahāñ  kā
saudā.ī  ho  to  rakkhe  bāzār-e-ishq  meñ  pā
sar  muft  bechte  haiñ  ye  kuchh  chalan  hai  vaañ  kā
sau  gaalī  ek  chashmak  itnā  sulūk  to  hai
aubāsh  ḳhāna  jañg  us  ḳhush-chashm  bad-zabāñ  kā
yā  ro.e  yā  rulāyā  apnī  to  yuuñ  hī  guzrī
kyā  zikr  ham-safīrāñ  yārān-e-shādmāñ  kā
qaid-e-qafas  meñ  haiñ  to  ḳhidmat  hai  nālagī  kī
gulshan  meñ  the  to  ham  ko  mansab  thā  rauza-ḳhvāñ  kā
pūchho  to  'mīr'  se  kyā  koī  nazar  paḌā  hai
chehra  utar  rahā  hai  kuchh  aaj  us  javāñ  kā