ġhalat  hai  ishq  meñ  ai  bul-havas  andesha  rāhat  kā
rivāj  is  mulk  meñ  hai  dard-o-dāġh-o-ranj-o-kulfat  kā
zamīñ  ik  safha-e-tasvīr  be-hoshāñ  se  maanā  hai
ye  majlis  jab  se  hai  achchhā  nahīñ  kuchh  rañg  sohbat  kā
jahāñ  jalve  se  us  mahbūb  ke  yaksar  labālab  hai
nazar  paidā  kar  avval  phir  tamāshā  dekh  qudrat  kā
hanūz  āvāra-e-lailā  hai  jān-e-rafta  majnūñ  kī
muue  par  bhī  rahā  hotā  nahīñ  vābasta  ulfat  kā
harīf-e-be-jigar  hai  sabr  varna  kal  kī  sohbat  meñ
niyāz-o-nāz  kā  jhagḌā  giro  thā  ek  jur.at  kā
nigāh-e-yās  bhī  is  said-e-afgan  par  ġhanīmat  hai
nihāyat  tañg  hai  ai  said-e-bismil  vaqt  fursat  kā
ḳharābī  dil  kī  is  had  hai  ki  ye  samjhā  nahīñ  jaatā
ki  ābādī  bhī  yaañ  thī  yā  ki  vīrāna  thā  muddat  kā
nigāh-e-mast  ne  us  kī  luTā.ī  ḳhānqa  saarī
paḌā  hai  barham  ab  tak  kārḳhāna  zohd-o-tā.at  kā
qadam  Tak  dekh  kar  rakh  'mīr'  sar  dil  se  nikālegā
palak  se  shoḳh-tar  kāñTā  hai  sahrā-e-mohabbat  kā