aage  hamāre  ahd  se  vahshat  ko  jā  na  thī
dīvāngī  kaso  kī  bhī  zanjīr-e-pā  na  thī
begāna  sā  lage  hai  chaman  ab  ḳhizāñ  meñ  haa.e
aisī  ga.ī  bahār  magar  āshnā  na  thī
kab  thā  ye  shor-e-nauha  tirā  ishq  jab  na  thā
dil  thā  hamārā  aage  tū  mātam-sarā  na  thī
vo  aur  koī  hogī  sahar  jab  huī  qubūl
sharminda-e-asar  to  hamārī  duā  na  thī
aage  bhī  tere  ishq  se  khīñche  the  dard-o-ranj
lekin  hamārī  jaan  par  aisī  balā  na  thī
dekhe  dayār-e-husn  ke  meñ  kārvāñ  bahut
lekin  kaso  ke  paas  matā-e-vafā  na  thī
aa.ī  parī  sī  parda-e-mīnā  se  jaam  tak
āñkhoñ  meñ  terī  duḳhtar-e-raz  kyā  hayā  na  thī
is  vaqt  se  kyā  hai  mujhe  to  charāġh-e-vaqf
maḳhlūq  jab  jahāñ  meñ  nasīm-o-sabā  na  thī
pazhmurda  is  qadar  haiñ  ki  hai  shub.h  ham  ko  'mīr'
tan  meñ  hamāre  jaan  kabhū  thī  bhī  yā  na  thī