ḳhūbī  kā  us  kī  bas-ki  talabgār  ho  gayā
gul  baaġh  meñ  gale  kā  mire  haar  ho  gayā
kis  ko  nahīñ  hai  shauq  tirā  par  na  is  qadar
maiñ  to  usī  ḳhayāl  meñ  bīmār  ho  gayā
maiñ  nau-damīda  baal  chaman-zād-e-tair  thā
par  ghar  se  uTh  chalā  so  giraftār  ho  gayā
Thahrā  gayā  na  ho  ke  harīf  us  kī  chashm  kā
siine  ko  toḌ  tīr-e-nigah  paar  ho  gayā
hai  us  ke  harf  zer-e-labī  kā  sabhoñ  meñ  zikr
kyā  baat  thī  ki  jis  kā  ye  bistār  ho  gayā
to  vo  matā.a  hai  ki  paḌī  jis  kī  tujh  pe  aañkh
vo  jī  ko  bech  kar  bhī  ḳharīdār  ho  gayā
kyā  kahiye  āh-e-ishq  meñ  ḳhūbī  nasīb  kī
dildār  apnā  thā  so  dil-āzār  ho  gayā
āThoñ  pahar  lagā  hī  phire  hai  tumhāre  saath
kuchh  in  dinoñ  maiñ  ġhair  bahut  yaar  ho  gayā
kab  ro  hai  us  se  baat  ke  karne  kā  mujh  ko  'mīr'
nā-karda  jurm  meñ  tū  gunahgār  ho  gayā