dil  saaf  ho  to  jalva-gah-e-yār  kyuuñ  na  ho
ā.īna  ho  to  qābil-e-dīdār  kyuuñ  na  ho
aalam  tamām  us  kā  giraftār  kyuuñ  na  ho
vo  nāz-pesha  ek  hai  ayyār  kyuuñ  na  ho
mustaġhyāna  to  jo  kare  pahle  hī  sulūk
āshiq  ko  fikr-e-āqibat-kār  kyuuñ  na  ho
rahmat  ġhazab  meñ  nisbat-e-barq-o-sahāb  hai
jis  ko  shu.ūr  ho  to  gunahgār  kyuuñ  na  ho
dushman  to  ik  taraf  ki  sabab  rashk  kā  hai  yaañ
dar  kā  shiġhāf-o-raḳhna-e-dīvār  kyuuñ  na  ho
āyāt-e-haq  haiñ  saare  ye  zarrāt-e-kā.enāt
inkār  tujh  ko  hove  so  iqrār  kyuuñ  na  ho
har-dam  kī  taaza  marg-e-judā.ī  se  tañg  huuñ
honā  jo  kuchh  hai  aah  so  yak-bār  kyuuñ  na  ho
mū-e-safed  ham  ko  kahe  hai  ki  ġhāfilāñ
ab  sub.h  hone  aa.ī  hai  bedār  kyuuñ  na  ho
nazdīk  apne  ham  ne  to  sab  kar  rakhā  hai  sahal
phir  'mīr'  is  meñ  murdan-e-dushvār  kyuuñ  na  ho