ho  aajiz  ki  jism  is  qadar  zor  se
na  niklā  kabhū  uhda-e-mor  se
bahut  duur  koī  rahā  hai  magar
ki  fariyād  meñ  hai  jaras  shor  se
mirī  ḳhāk-e-tafta  par  ai  abr-e-tar
qasam  hai  tujhe  Tak  baras  zor  se
tire  dil-jale  ko  rakhā  jis  ghaḌī
dhuāñ  sā  uThā  kuchh  lab-e-gor  se
na  pūchho  ki  be-e'tibārī  se  maiñ
huā  us  galī  meñ  batar  chor  se
nahīñ  sūjhtā  kuchh  jo  us  bin  hameñ
baġhair  us  ke  rahte  haiñ  ham  kor  se
jo  ho  'mīr'  bhī  is  galī  meñ  sabā
bahut  pūchhiyo  to  mirī  or  se