rahī  na  puḳhtagī  aalam  meñ  duur  ḳhāmī  hai
hazār  haif  kamīnoñ  kā  charḳh  haamī  hai
na  uTh  to  ghar  se  agar  chāhtā  hai  huuñ  mash.hūr
nagīñ  jo  baiThā  hai  gaḌ  kar  to  kaisā  naamī  hai
huī  haiñ  fikreñ  pareshān  'mīr'  yāroñ  kī
havās-e-ḳhamsa  kare  jam.a  so  'nizāmī'  hai