aisā  tirā  rahguzar  na  hogā
har  gaam  pe  jis  meñ  sar  na  hogā
kyā  in  ne  nashe  meñ  mujh  ko  maarā
itnā  bhī  tū  be-ḳhabar  na  hogā
dhokā  hai  tamām  bahr  duniyā
dekhegā  ki  hoñT  tar  na  hogā
aa.ī  jo  shikast  ā.īne  par
rū-e-dil  yaar  idhar  na  hogā
dashnoñ  se  kisī  kā  itnā  zālim
TukḌe  TukḌe  jigar  na  hogā
ab  dil  ke  ta.iiñ  diyā  to  samjhā
mehnat-zadoñ  ke  jigar  na  hogā
duniyā  kī  na  kar  tū  ḳhvāst-gārī
us  se  kabhū  bahra-var  na  hogā
aa  ḳhāna-ḳharābī  apnī  mat  kar
qahba  hai  ye  us  se  ghar  na  hogā
ho  us  se  jahāñ  siyāh  tad  bhī
naale  meñ  mire  asar  na  hogā
phir  nauhagarī  kahāñ  jahāñ  meñ
mātam-zada  'mīr'  agar  na  hogā