ḳhat  likh  ke  koī  saada  na  us  ko  malūl  ho
ham  to  huuñ  bad-gumān  jo  qāsid-e-rasūl  ho
chāhūñ  to  bhar  ke  kaulī  uThā  luuñ  abhī  tumheñ
kaise  hī  bhārī  ho  mire  aage  to  phuul  ho
surma  jo  nuur  baḳhshe  hai  āñkhoñ  ko  ḳhalq  kī
shāyad  ki  rāh-e-yār  kī  hī  ḳhaak  dhuul  ho
jāveñ  nisār  hone  ko  ham  kis  bisāt  par
ik  niim  jaañ  rakheñ  haiñ  so  vo  jab  qubūl  ho
ham  in  dinoñ  meñ  lag  nahīñ  paḌte  haiñ  sub.h-o-shām
varna  duā  kareñ  to  jo  chāheñ  husūl  ho
dil  le  ke  lauñDe  dillī  ke  kab  kā  pachā  ga.e
ab  un  se  khaa.ī  pī  huī  shai  kiyā  vasūl  ho
nākām  is  liye  ho  ki  chāho  ho  sab  kuchh  aaj
tum  bhī  to  'mīr'  sāhib-o-qibla  ajuul  ho